aaj bhi ganw mein kuchh kachche makanon wale
ghar mein ham-sae ke faqa nahin hone dete
Meraj Faizabadi
jo kah rahe the ki jina muhaal hai tum bin
bichhaD ke mujh se wo do din udas bhi na rahe
Meraj Faizabadi
mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahaD
mere bachche mujhe buDha nahin hone dete
the mountain of my needs prevents me from being tired
my children don't permit me to be old and retired
Meraj Faizabadi
pyas kahti hai chalo ret nichoDi jae
apne hisse mein samundar nahin aane wala
Meraj Faizabadi
yun hua phir band kar lin us ne aankhen ek din
wo samajh leta tha dil ka haal chehra dekh ka
Meraj Faizabadi