aaKHir gil apni sarf-e-dar-e-mai-kada hui
pahunchi wahin pe KHak jahan ka KHamir tha
Meerza Jawan Bakht Jahandar
asan-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-wafa
uThate sar nahin hargiz tabah ke mare
Meerza Jawan Bakht Jahandar
kahen so kis se 'jahandar' us ki nazron mein
raqib kaam ke Thahre aur hum hain na-kare
Meerza Jawan Bakht Jahandar
ki dil ne dil-baran-e-jahan ki bahut talash
kui dil-ruba mila hai na dil-KHwah kya kare
Meerza Jawan Bakht Jahandar
mera KHun-e-dil yun baha dasht mein
ki jangal mein lohu ke thaale paDe
Meerza Jawan Bakht Jahandar
mujh dil mein hai jo but ki parastish ki aarzu
dekhi nahin wo aaj tilak barhaman ke bich
Meerza Jawan Bakht Jahandar
sar-rishta kufr-o-din ka haqiqat mein ek hai
jo tar-e-subha hai so hai zunnar dekhna
Meerza Jawan Bakht Jahandar
tere ishq se jab se pale paDe hain
hamein apne jine ke lale paDe hain
Meerza Jawan Bakht Jahandar