chashm-e-baatin mein se jab zahir ka parda uTh gaya
jo musalman tha wahi hindu nazar aaya mujhe
Meer Kallu Arsh
gale mein apne pahna hai jo tu ne ai but-e-kafir
meri tasbih ko hai rashk zunnar-e-barahman pa
Meer Kallu Arsh
kaba ka aur KHana-e-dil ka ye haal hai
jaise koi makan ho makan ke jawab mein
Meer Kallu Arsh
kya diya bosa lab-e-shirin ka ho kar tursh-ru
munh hua miTha to kya dil apna khaTTa ho gaya
Meer Kallu Arsh
kya ghair kya aziz koi nauhagar na ho
ai jaan yun nikal ki badan tak KHabar na ho
Meer Kallu Arsh
mujh ko aur yar ko donon se sarokar nahin
kufr kafir ko musalman ko hai islam pasand
Meer Kallu Arsh
sehhat hai maraz qaza shifa hai
allah hakim hai hamara
Meer Kallu Arsh
toD kar kabe ko masjid na banao zahid
KHana-barbaad kisi dil hi mein kar ghar paida
Meer Kallu Arsh