aashiq ko dekhte hain dupaTTe ko tan kar
dete hain hum ko sharbat-e-didar chhan ka
Meer Anees
'anis' aasan nahin aabaad karna ghar mohabbat ka
ye un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain
Meer Anees
'anis' dam ka bharosa nahin Thahar jao
charagh le ke kahan samne hawa ke chale
Meer Anees
ashk-e-gham dida-e-pur-nam se sambhaale na gae
ye wo bachche hain jo man bap se pale na gae
Meer Anees
gul-dasta-e-maani ko nae Dhang se bandhun
ek phul ka mazmun ho to sau rang se bandhun
Meer Anees
karim jo tujhe dena hai be-talab de de
faqir hun pa nahin aadat-e-sawal mujhe
Meer Anees
laga raha hun mazamin-e-nau ke phir ambar
KHabar karo mere KHirman ke KHosha-chinon ko
Meer Anees
misal-e-mahi-e-be-ab mauj taDpa ki
habab phuT ke roe jo tum naha ke chale
Meer Anees
tamam umr jo ki hum se be-ruKHi sab ne
kafan mein hum bhi azizon se munh chhupa ke chale
Meer Anees