ai KHalish bol kya yahi hai KHuda
ye jo dil mein KHala sa rahta hai
Meer Ahmad Naved
ai waqt tu kahin bhi kisi ka hua hai kya
kya tujh ko dekhna teri saat ko dekhna
Meer Ahmad Naved
charagh-ha-e-takalluf bujha diye gae hain
uThao jam ki parde uTha diye gae hain
Meer Ahmad Naved
daba saka na sada us ki teri bazm ka shor
KHamosh rah ke bhi koi sada bana hua hai
Meer Ahmad Naved
jo mil gae to tawangar na mil sake to gada
hum apni zat ke andar chhupa diye gae hain
Meer Ahmad Naved
KHud se guzre to qayamat se guzar jaenge hum
yani har haal ki haalat se guzar jaenge hum
Meer Ahmad Naved
kuchh is tarah se kaha mujh se baiThne ke liye
ki jaise bazm se us ne uTha diya hai mujhe
Meer Ahmad Naved
main apne hijr mein tha mubtala azal se magar
tere visal ne mujh se mila diya hai mujhe
Meer Ahmad Naved
main kahin aaun main kahin jaun
waqt jaise ruka sa rahta hai
Meer Ahmad Naved