aisa na ho ki taza hawa ajnabi lage
kamre ka ek-adh daricha khula bhi rakh
Marghoob Ali
higi miTTi ki mahak pyas baDha deti hai
dard barsat ki bundon mein basa karta hai
Marghoob Ali
ichhaD ke tujh se ajab haal ho gaya mera
tamam shahr paraya dikhai deta hai
Marghoob Ali
hamein to yaad bahut aaya mausam-e-gul mein
wo surKH phul sa chehra khila hua ab ke
Marghoob Ali
haqiqi chehra kahin par hamein nahin milta
sabhi ne chehre pe Dale hain maslahat ke naqa
Marghoob Ali
kursi mez kitaben? bistar anjaane se takte hain
der se apne ghar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai
Marghoob Ali
main us ko bhul jaun raat ye mangi dua main ne
karun kya main agar meri dua wapas palaT aae
Marghoob Ali
mujh ko barbaad KHud hi hona tha
tum pe ilzam be-sabab aae
Marghoob Ali
aat paDte hi har ek roz ubhar aati hai
kis ke rone ki sada zat ke sannaTe mein
Marghoob Ali