aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
barsat ke mausam mein sitare nikal aae
Mansoor Usmani
apni tarif suni hai to ye sach bhi sun le
tujh se achchha tera kirdar nahin ho sakta
Mansoor Usmani
haalat kya ye tere bichhaDne se ho gae
lagta hai jaise hum kisi mele mein kho gae
Mansoor Usmani
hum ne kuchh git likhe hain jo sunana hain tumhein
tum kabhi bazm sajaana to KHabar kar dena
Mansoor Usmani
is shahr mein chalti hai hawa aur tarah ki
jurm aur tarah ke hain saza aur tarah ki
Mansoor Usmani
jis ko bachae rakhne mein ajdad bik gae
hum ne usi haweli ko nilam kar diya
Mansoor Usmani
jo phans chubh rahi hai dilon mein wo tu nikal
jo panw mein chubhi thi use hum nikal aae
Mansoor Usmani
KHuda ke nam pe kya kya fareb dete hain
zamana-saz ye rahbar bhi main bhi duniya bhi
Mansoor Usmani
KHushbu ka qafila ye bahaaron ka silsila
pahuncha hai shahr tak to mere ghar bhi aaega
Mansoor Usmani