jo kabhi diwar pe laTkai thi
ab tere kamre ki zinat bhi nahin
Mansoor Khushtar
kisi se sarguzisht-e-gham bayan karta hun jab apni
kahani wo sarasar aap ki malum hoti hai
Mansoor Khushtar
naz-o-andaz ki qimat hai tere mere sabab
kis ki mahfil mein bhala aur ghazab Dhaoge
Mansoor Khushtar
tawajjoh aap farmaen agar to
kuchh hum bhi arz karna chahte hain
Mansoor Khushtar
tha jo ek kafir musalman ho gaya
pal mein virana gulistan ho gaya
Mansoor Khushtar
tere jaur-o-jafa ka hum kabhi shikwa nahin karte
mohabbat jis se karte hain use ruswa nahin karte
Mansoor Khushtar
yaqin kar ki main tujh se bhi ziyaada chahta us ko
jo mere jaisa tera aur koi qadr-dan hota
Mansoor Khushtar