aa gira zinda shamshan mein lakDiyon ka dhuan dekh kar
ek musafir parinda kai sard raaton ka mara hua
Mansoor Aafaque
arishen us ka lab-o-lahja pahan leti thin
shor karti thi wo barsat mein jhanjhar ki tarah
Mansoor Aafaque
as ek lunch hi mumkin tha jaldi jaldi mein
use bhi jaana tha mujh ko bhi kaam karna tha
Mansoor Aafaque
as ek raat se kaise thakan utarti hai
badan ko chahiye aaram kuchh ziyaada hi
Mansoor Aafaque
ek patthar hai ki bas surKH hua jata hai
koi pahron se khaDa hai kisi diwar ke pas
Mansoor Aafaque
patthar ke jism mein tujhe itna kiya talash
'mansur' Dher lag gae ghar mein kabaD ke
Mansoor Aafaque
qayam karta hun akasr main dil ke kamre mein
ki jam na jae kahin gard us ki chizon pa
Mansoor Aafaque
sard ThiThuri hui lipTi hui sarsar ki tarah
zindagi mujh se mili pichhle december ki tarah
Mansoor Aafaque
tere bhulane mein mera qusur itna hai
ki paD gae the mujhe kaam kuchh ziyaada hi
Mansoor Aafaque