ura maniye mat mere dekhne se
tumhein haq ne aisa banaya to dekha
Mamnoon Nizamuddin
guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka
jhuka ke aankh sabab kya hai muskurane ka
Mamnoon Nizamuddin
kal wasl mein bhi nind na aai tamam shab
ek ek baat par thi laDai tamam sha
Mamnoon Nizamuddin
KHwab mein bosa liya tha raat ba-lab-e-nazuki
subh dam dekha to us ke honTh pe but-KHala tha
Mamnoon Nizamuddin
koi hamdard na hamdam na yagana apna
ru-ba-ru kis ke kahen hum ye fasana apna
Mamnoon Nizamuddin
na ki ghamza ne jalladi na un aankhon ne saffaki
jise kahte hain dil apna wahi qatil hua jaan ka
Mamnoon Nizamuddin
tujhe naqsh-e-hasti miTaya to dekha
jo parda tha hail uThaya to dekha
Mamnoon Nizamuddin
ye na jaana the ki us mahfil mein dil rah jaega
hum ye samjhe the chale aaenge dam bhar dekh kar
i did not know that at her place my heart would choose to stay
I had thought a moments glance and we would come away
Mamnoon Nizamuddin