aandhe moD ko jo bhi kaTe aahista guzre
cyclen Takra jati hain akasr motor se
Majid-ul-Baqri
aat karna hai karo samne itrao nahin
jo nahin jaante us baat ko samjhao nahin
Majid-ul-Baqri
is baras se ek tare par man ki jot jagata hun
diwali ki raat ko tu bhi koi diya jalaya ka
Majid-ul-Baqri
honT ki surKHi jhank uThti hai shishe ke paimanon se
miTTi ke bartan mein pani pi kar pyas bujhaya ka
Majid-ul-Baqri
insan mein kya bhara hua hai
honTon se dimagh tak sile hain
Majid-ul-Baqri
lohe aur patthar ki sari taswiren miT jaengi
kaghaz ke parde par hum ne sab ke rup jamae hain
Majid-ul-Baqri
mujhi se puchh raha tha mera pata koi
buton ke shahr mein maujud tha KHuda koi
Majid-ul-Baqri
qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun
KHayal dil mein jo aaya gunah jaisa tha
Majid-ul-Baqri
sukhe patte sab ikaTThe ho gae hain
raste mein ek diwar aa gai hai
Majid-ul-Baqri