afsos jin ke dam se har ek su hain nafraten
hum ne talluqat unhin se baDha liye
Majid Deobandi
in aansuon ki hifazat bahut zaruri hai
andheri raat mein jugnu bhi kaam aate hain
Majid Deobandi
jis ko chahen be-izzat kar sakte hain
aap baDe hain aap ko ye aasani hai
Majid Deobandi
KHizan ka zikr to meri zaban pe tha hi nahin
bahaar karti hai matam tere hawale se
Majid Deobandi
main jab bhi tajziya karta hun tera ai duniya
is aaine mein tujhe bad-chalan si pata hun
Majid Deobandi
meri aankhen kuchh soi si rahti hain
shayad in ka KHwab-nagar se rishta hai
Majid Deobandi
phir tumhaare panw chhune KHud bulandi aaegi
sab dilon par raj kar ke taj-dari sikh lo
Majid Deobandi
yaad rakkho ek na ek din sanp bahar aaenge
aastinon mein unhen kab tak chhupaya jaega
Majid Deobandi