ab hawaen hi karengi raushni ka faisla
jis diye mein jaan hogi wo diya rah jaega
the winds will now decide what happens to the light
those lamps that have the strength, will survive the night
Mahshar Badayuni
abhi sar ka lahu thamne na paya
udhar se ek patthar aur aaya
Mahshar Badayuni
hum ko bhi KHush-numa nazar aai hai zindagi
jaise sarab dur se dariya dikhai de
Mahshar Badayuni
har patti bojhal ho ke giri sab shaKHen jhuk kar TuT gain
us barish hi se fasl ujDi jis barish se tayyar hui
Mahshar Badayuni
jis ke liye bachcha roya tha aur ponchhe the aansu baba ne
wo bachcha ab bhi zinda hai wo mahnga khilauna TuT gaya
Mahshar Badayuni
kare dariya na pul mismar mere
abhi kuchh log hain us par mere
Mahshar Badayuni
main itni raushni phaila chuka hun
ki bujh bhi jaun to ab gham nahin hai
Mahshar Badayuni