aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya
dekho hum ne peT ki KHatir kya kya karobar kiya
Mahmood Shaam
as ek apne hi qadmon ki chap sunta hun
main kaun hun ki bhare shahr mein bhi tanha hun
Mahmood Shaam
chandni shab tu jis ko DhunDne aai hai
ye kamra wo shaKHs to kab ka chhoD gaya
Mahmood Shaam
ek jangal jis mein insan ko darindon se hai KHauf
ek jangal jis mein insan KHud se hi sahma hua
Mahmood Shaam
kitne chehre kitni shaklen phir bhi tanhai wahi
kaun le aaya mujhe in aainon ke darmiyan
Mahmood Shaam
us ko dekha to ye mahsus hua
hum bahut dur the KHud se pahle
Mahmood Shaam
ye aur baat ki chahat ke zaKHm gahre hain
tujhe bhulane ki koshish to warna ki hai bahut
Mahmood Shaam