diwar o dar ne rangon se daman chhuDa liya
yak-rangi-e-sukut se kyun ghar niDhaal hai
Mahender Kumar Sani
ho raha hun tere dukh mein tahlil
apne har dard se kaTta jaun
Mahender Kumar Sani
jaane kaisi raushni thi kar gai andha mujhe
is bhayanak tirgi mein bhi bujha rahta hun main
Mahender Kumar Sani
main apni yatra par ja raha hun
mujhe ab lauT kar aana nahin hai
Mahender Kumar Sani
main chahta hun ki teri taraf na dekhun main
meri nazar ko magar tu ne bandh rakkha hai
Mahender Kumar Sani
main din ko shab se bhala kyun alag karun sani
ye tirgi bhi to ek raushni ka hissa hai
Mahender Kumar Sani
main tanhai ko apna ham-safar kya man baiTha
mujhe lagta hai mere sath duniya chal rahi hai
Mahender Kumar Sani
aushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl
ek KHala paDta hai jis mein ghumta rahta hun main
Mahender Kumar Sani
tera wajud tere raste mein hail hai
yahin se ho ke mera qafila guzarta hai
Mahender Kumar Sani