a-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tawaqqo kuchh
magar duniya ke logon mein mujhe hai pyar se matla
Mah Laqa Chanda
'chanda' rahe partaw se tere ya ali raushan
KHurshid ko hai dar se tere sham-o-sahar faiz
Mah Laqa Chanda
daregh chashm-e-karam se na rakh ki ai zalim
kare hai dil ko mere teri yak nazar mahzuz
Mah Laqa Chanda
dil ho gaya hai gham se tere daghdar KHub
phula hai kya hi josh se ye lala-zar KHu
Mah Laqa Chanda
gar mere dil ko churaya nahin tu ne zalim
khol de band hatheli ko dikha hathon ko
Mah Laqa Chanda
garche gul ki sej ho tis par bhi uD jati hai nind
sar rakhun qadmon pe jab tere mujhe aati hai nind
Mah Laqa Chanda
gul ke hone ki tawaqqoa pe jiye baiThi hai
har kali jaan ko muTThi mein liye baiThi hai
Mah Laqa Chanda
hum jo shab ko na-gahan us shoKH ke pale paDe
dil to jata hi raha ab jaan ke lale paDe
Mah Laqa Chanda
kabhi sayyaad ka khaTka hai kabhi KHauf-e-KHizan
bulbul ab jaan hatheli pe liye baiThi hai
Mah Laqa Chanda