gham-e-sud-o-ziyan se be-niyazana nikalta hai
baDi farzangi se tera diwana nikalta hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
har lamha mangte hain dua did-e-yar ki
yaad-e-butan bhi dil mein hai yaad-e-KHuda ke sath
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
in shoKH hasinon ki nirali hai ada bhi
but ho ke samajhte hain ki jaise hain KHuda bhi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
kisi ik-adh mai-kash se KHata kuchh ho gai hogi
magar kyun mai-kade ka mai-kada bad-nam hai saqi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
marna to lazim hai ek din ji bhar ke ab ji to lun
marne se pahle mar jaana mere bas ki baat nahin
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
mere sawal-e-visal par tum nazar jhuka kar khaDe hue ho
tumhin batao ye baat kya hai sawal pura jawab aadha
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
muskurana kabhi na ras aaya
har hansi ek wardat bani
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
phir is ke baad hamein tishnagi rahe na rahe
kuchh aur der murawwat se kaam le saqi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
saqi mai saghar paimana mere bas ki baat nahin
sirf inhi se dil bahlana mere bas ki baat nahin
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar