aadmi hona KHuda hone se behtar kaam hai
KHud hi KHud ke KHwab ki tabir ban kar dekh le
Kumar Vishwas
apne hi aap se is tarah hue hain ruKHsat
sans ko chhoD diya jis samt bhi jaana chahe
Kumar Vishwas
chaaron taraf bikhar gain sanson ki KHushbuen
rah-e-wafa mein aap jahan bhi jidhar gae
Kumar Vishwas
dil ke tamam zaKHm teri han se bhar gae
jitne kaThin the raste wo sab guzar gae
Kumar Vishwas
jab se mila hai sath mujhe aap ka huzur
sab KHwab zindagi ke hamare sanwar gae
Kumar Vishwas
jism chadar sa bichh gaya hoga
ruh silwaT haTa rahi hogi
Kumar Vishwas
koi diwana kahta hai koi pagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai
Kumar Vishwas
mera KHayal teri chuppion ko aata hai
tera KHayal meri hichkiyon ko aata hai
Kumar Vishwas
phir meri yaad aa rahi hogi
phir wo dipak bujha rahi hogi
Kumar Vishwas