dil ek sadiyon purana udas mandir hai
umid tarsa hua pyar dew-dasi ka
Krishna Mohan
jab bhi ki tahrir apni dastan
teri hi taswir ho kar rah gai
Krishna Mohan
jab bhi mile wo na-gahan jhum uThe hain qalb o jaan
milne mein lutf hai agar milna ho kaam ke baghai
Krishna Mohan
karen to kis se karen zikr-e-KHana-virani
ki hum to aag nasheman ko KHud laga aae
Krishna Mohan
kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisa akela-pan ki log
maut se Darte hain main to zindagi se Dar gaya
Krishna Mohan
makan andar se KHasta ho gaya hai
aur is mein ek rasta ho gaya hai
Krishna Mohan
wo kya zindagi jis mein joshash nahin
wo kya aarzu jis mein kawish nahin
Krishna Mohan
zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya
ek din itna hansa wo hanste hanste mar gaya
Krishna Mohan