hamein jo fikr ki dawat na de sake 'kausar'
wo sher sher to hai ruh-e-shaeri to nahin
Kausar Siwani
harifon ki taraf-dari se apna-pan ka dam TuTa
baDhi kuchh aur jab duri to qurbat ka bharam TuTa
Kausar Siwani
jo toD doge mujhe tum bhi TuT jaoge
ki irtibaat-e-salasil ki ek kaDi hun main
Kausar Siwani
kya dil ki pyas thi ki bujhai na ja saki
baadal nichoD ke na samundar tarash ke
Kausar Siwani
main to qabil na tha un ke didar ke
un ki chaukhaT pe meri KHata le gai
Kausar Siwani
samundar ki tarah wusat ho jis mein
wo qatra bahr hai qatra nahin hai
Kausar Siwani
zindagi kuchh to bharam rakh le wafadari ka
tujh ko mar mar ke shab-o-roz sanwara hai bahut
Kausar Siwani