ojh dil par hai nadamat ka to aisa kar lo 
mere sine se kisi aur bahane lag jao
Kausar Mazhari
chand hai pani mein ya bhule hue chehre ka aks 
sahil-e-dariya pe dekho main bhi hairani mein hun
Kausar Mazhari
ek muddat se KHamoshi ka hai pahra har-su 
jaane kis or gae shor machane wale
Kausar Mazhari
gira tha bojh koi sar se mere 
usi ko phir uThana chahta hun
Kausar Mazhari
jaane kis KHwab-e-pareshan ka hai chakkar sara 
bikhra bikhra hua rahta hai mera ghar sara
Kausar Mazhari
kaun si duniya mein hun kis ki nigahbani mein hun 
zindagi hai saKHt mushkil phir bhi aasani mein hun
Kausar Mazhari
main sab ke waste achchha tha lekin 
usi ke waste achchha nahin tha
Kausar Mazhari
mausam-e-dil jo kabhi zard sa hone lag jae 
apna dil KHun karo phul ugane lag jao
Kausar Mazhari
nazar jhuk rahi hai KHamoshi hai lab par 
haya hai ada hai ki an-ban hai kya hai
Kausar Mazhari

