acha liya teri KHushbu ke farq ne warna
main tere wahm mein tujh se lipaTne wala tha
Kaifi Wijdani
asti mein gharibon ki jahan aag lagi thi
sunte hain wahan ek naya shahr basega
Kaifi Wijdani
KHud hi uchhaalun patthar KHud hi sar par le lun
jab chahun sune mausam se manzar le lun
Kaifi Wijdani
mere raste mein jo raunaq thi mere fan ki thi
mere ghar mein jo andhera tha mera apna tha
Kaifi Wijdani
sirf darwaze talak ja ke hi lauT aaya hun
aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya
Kaifi Wijdani
tu ek qadam bhi jo meri taraf baDha deta
main manzilen teri dahliz se mila deta
Kaifi Wijdani
zamin ke zaKHm samundar to bhar na paega
ye kaam dida-e-tar tujh ko saunpna hoga
Kaifi Wijdani