'ajmal' safar mein sath rahin yun saubaten
jaise ki har saza ka saza-war main hi tha
Kabir Ajmal
kahte hain ki uThne ko hai ab rasm-e-mohabbat
aur is ke siwa koi tamasha bhi nahin hai
Kabir Ajmal
kis se main un ka Thikana puchhta
samne KHali makan tha aur main
Kabir Ajmal
koi sada koi aawaza-e-jaras hi sahi
koi bahana ki hum jaan nisar karte rahen
Kabir Ajmal
kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage
us se rishta bhi raha wahm o guman se aage
Kabir Ajmal
kyun baam pe aawazon ka dhammal hai 'ajmal'
is ghar pe to aaseb ka saya bhi nahin hai
Kabir Ajmal
lahu rishton ka ab jamne laga hai
koi sailab mere ghar bhi aae
Kabir Ajmal
main bujh gaya to kaun ujalega tera rup
zinda hun is KHayal mein marta hua sa main
Kabir Ajmal
ufuq ke aaKHiri manzar mein jagmagaun main
hisar-e-zat se niklun to KHud ko paun main
Kabir Ajmal