aks-e-KHayal-e-yar sanwara karenge hum
shishe mein aaine ko utara karenge hum
Junaid Akhtar
main bhala hath duaon ko uThata kaise
us ne chhoDi hi nahin koi zarurat baqi
Junaid Akhtar
ah-e-talab mein dam-o-diram chhoD jaenge
likh lo hamare sher baDe kaam aaenge
Junaid Akhtar
akhte hain mohabbat ko taghaful mein chhupa kar
parwa hi to karte hain jo parwa nahin karte
Junaid Akhtar
sare to nahin jaan bachane mein lage hain
kuchh ghaw hamein zaKHm lagane mein lage hain
Junaid Akhtar
tum ko sote mein bhi kab aankh uTha kar dekha
hum ne KHwabon mein bhi aaankhon ki nigah-dari ki
Junaid Akhtar
wo to bas jhuTi tasalli ko kaha tha tum se
hum to apne bhi nahin, KHak tumhaare hote
Junaid Akhtar
yaqin KHud uTh gaya hai mujh se mera
meri itni taraf-dari hui hai
Junaid Akhtar