aas bandhati hai sada sukh ki hogi bhor
apne iradon ko abhi mat karna kamzo
Jayant Parmar
istar pe leTe leTe meri aankh lag gai
ye kaun mere kamre ki batti bujha gaya
Jayant Parmar
chahat ki bhasha nahin shabdon ko mat tol
KHamoshi ka git sun chand ki khiDki khol
Jayant Parmar
dil ko dukhati hai phir bhi kyun achchhi lagti hai
yaadon ki ye sham suhani dil mein qaid hui
Jayant Parmar
har ek shaKH ke hathon mein phul mahkenge
KHizan ka peD bhi kapDe badalna chahta hai
Jayant Parmar
jaDe ki rut hai nai tan par nili shaal
tere sath achchhi lagi sardi ab ke sal
Jayant Parmar
jugnu tha tara tha kya tha
darwaze par kaun khaDa tha
Jayant Parmar
lakh chhupae na chhupe in raaton ka bhed
aankhon ke aakash mein paDhe the chaaron wed
Jayant Parmar
lams ki wo raushni bhi bujh gai
jism ke andar andhera aur hai
Jayant Parmar