aap se ab kya chhupana aap koi ghair hain
ho chuka hun main kisi ka aap bhi ho jaiye
Javed Saba
ai be-KHudi salam tujhe tera shukriya
duniya bhi mast mast hai uqba bhi mast mast
Javed Saba
Dar raha hun ki sar-e-sham teri aankhon mein
main ne jo waqt guzara hai koi dekh na le
Javed Saba
dekhe the jitne KHwab Thikane laga diye
tum ne to aate aate zamane laga diye
Javed Saba
guzar rahi thi zindagi guzar rahi hai zindagi
nasheb ke baghair bhi faraaz ke baghair bhi
Javed Saba
jaane wale ne hamesha ki judai de kar
dil ko aankhon mein dhaDakne ke liye chhoD diya
Javed Saba
maddham maddham sans ki KHush-bu miThe miThe dard ki aanch
rah rah ke karti hai bekal aur main likhta jata hun
Javed Saba
mujhe tanhai ki aadat hai meri baat chhoDen
ye lije aap ka ghar aa gaya hai hat chhoDen
Javed Saba
shairi kar-e-junun hai aap ke bas ki nahin
waqt par bistar se uThiye waqt par so jaiye
Javed Saba