hai dilon ka wahi jo dana-e-tasbih ka haal
yun mile hain pa hain dar-asl juda ek se ek
Javed Lakhnvi
jis jagah jaen bana len tere wahshi sahra
KHak le aae hain muTThi mein bayabanon ki
Javed Lakhnvi
kahin aisa na ho mar jaun main hasrat hi hasrat mein
jo lena ho to le lo sab se pahle imtihan mera
Javed Lakhnvi
KHak uD ke hamari tere kuche mein pahunchti
taqdir thi ye bhi ki hawa bhi na chali aaj
Javed Lakhnvi
sab KHat tamam kar chuke paDh paDh ke shauq se
wan tham gae jahan pe mera nam aa gaya
Javed Lakhnvi
shab-e-wasl kya jaane kya yaad aaya
wo kuchh aap hi aap sharma rahe hain
Javed Lakhnvi
surat na yun dikhae unhen bar bar chand
paida kare hasinon mein kuchh e'tibar chand
Javed Lakhnvi
tum diye jao yunhi hum ko hawa daman ki
hum se behosh nahin hosh mein aane wale
Javed Lakhnvi
tum pas jo aae kho gae hum
jab tum na mile to justuju ki
Javed Lakhnvi