ajib saneha guzra hai in gharon pe koi
ki chaunkta hi nahin ab to dastakon pe koi
Javaid Anwar
e-tuki raushni mein parae andhere liye
ek manzar hai tere liye ek mere liye
Javaid Anwar
har ek had se pare apna boriya le ja
badi ka nam na le aur nekiyon se nikal
Javaid Anwar
jo din chaDha to hamein nind ki zarurat thi
sahar ki aas mein hum log raat bhar jage
Javaid Anwar
koi kahani koi waqia suna to sahi
agar hansa nahin sakta mujhe rula to sahi
Javaid Anwar
nikal gulab ki muTThi se aur KHushbu ban
main bhagta hun tere pichhe aur tu jugnu ban
Javaid Anwar
sham pyari sham us par bhi koi dar khol de
shaKH par baiThi hui hai ek beghar faKHta
Javaid Anwar
tujhe main ghaur se dekhun main tujh se pyar karun
ai mere but tu mere but-kadon se bahar aa
Javaid Anwar