ab banjh zaminon se ummid bhi kya rakhna
roen bhi to la-hasil boen bhi to kya kaTen
Iqbal Kausar
anna tha to banta na farishta na KHuda main
insan hi banta meri takmil to ye thi
Iqbal Kausar
dhyan aaya mujhe raat ki tanha-safari ka
yak-dam koi saya sa gali se nikal aaya
Iqbal Kausar
jis tarah log KHasare mein bahut sochte hain
aaj kal hum tere bare mein bahut sochte hain
Iqbal Kausar
meri KHak us ne bikher di sar-e-rah ghubar bana diya
main jab aa saka na shumar mein mujhe be-shumar bana diya
Iqbal Kausar
par le ke kidhar jaen kuchh dur tak uD aaen
dam jitna mayassar hai ye Thahri hawa kaTen
Iqbal Kausar
tere juzw juzw KHayal ko rag-e-jaan mein pura utar kar
wo jo bar bar ki shakl thi use ek bar bana diya
Iqbal Kausar
teri pahli did ke sath hi wo fusun bhi tha
tujhe dekh kar tujhe dekhna mujhe aa gaya
Iqbal Kausar
wo bhi ro ro ke bujha Dala hai ab aankhon ne
raushni deta tha jo ek diya andar se
Iqbal Kausar