afsos mabadon mein KHuda bechte hain log
ab mani-e-saza-o-jaza kuchh nahin raha
Iqbal Kaifi
aTe hue hain faqiron ke pairahan 'kaifi'
jahan ne bhik mein miTTi bikher kar di hai
Iqbal Kaifi
dekha hai mohabbat ko ibaadat ki nazar se
nafrat ke awamil hamein mayub rahe hain
Iqbal Kaifi
ghazal ke rang mein malbus ho kar
rubab-e-dard se aahang nikla
Iqbal Kaifi
guhar samjha tha lekin sang nikla
kisi ka zarf kitna tang nikla
Iqbal Kaifi
KHizan ka daur bhi aata hai ek din 'kaifi'
sada-bahaar kahan tak daraKHt rahte hain
Iqbal Kaifi
main aise husn-e-zan ko KHuda manta nahin
aahon ke ehtijaj se jo mawara rahe
Iqbal Kaifi
mohabbaton ko bhi us ne KHata qarar diya
magar ye jurm hamein bar bar karna hai
Iqbal Kaifi
phulon ka tabassum bhi wo pahla sa nahin hai
gulshan mein bhi chalti hai hawa aur tarah ki
Iqbal Kaifi