aadmi jaan ke khata hai mohabbat mein fareb
KHud-farebi hi mohabbat ka sila ho jaise
Iqbal Azeem
ab hum bhi sochte hain ki bazar garm hai
apna zamir bech ke duniya KHarid len
Iqbal Azeem
ai ahl-e-wafa dad-e-jafa kyun nahin dete
soe hue zaKHmon ko jaga kyun nahin dete
Iqbal Azeem
apni miTTi hi pe chalne ka saliqa sikho
sang-e-marmar pe chaloge to phisal jaoge
Iqbal Azeem
arha un se na milne ki qasam khata hun main
aur phir ye baat qasdan bhul bhi jata hun main
Iqbal Azeem
e-niyazana guzar jae guzarne wala
mere pindar ko ab shauq-e-tamasha bhi nahin
Iqbal Azeem
hath phailaun main isa-nafason ke aage
dard pahlu mein mere hai magar itna bhi nahin
Iqbal Azeem
hum bahut dur nikal aae hain chalte chalte
ab Thahar jaen kahin sham ke Dhalte Dhalte
Iqbal Azeem
is jashn-e-charaghan se to behtar the andhere
in jhuTe charaghon ko bujha kyun nahin dete
Iqbal Azeem