agar wo chand ki basti ka rahne wala tha
to apne sath sitaron ka qafila rakhta
Iffat Zarrin
dekh kar insan ki bechaargi
sham se pahle parinde so gae
Iffat Zarrin
kaun pahchanega 'zarrin' mujh ko itni bhiD mein
mere chehre se wo apni har nishani le gaya
Iffat Zarrin
patthar ke jism mom ke chehre dhuan dhuan
kis shahr mein uDa ke hawa le gai mujhe
Iffat Zarrin
wo mil gaya to bichhaDna paDega phir 'zarrin'
isi KHayal se hum raste badalte rahe
Iffat Zarrin
wo mujh ko bhul chuka ab yaqin hai warna
wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta
Iffat Zarrin
zehn o dil ke fasle the hum jinhen sahte rahe
ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe
Iffat Zarrin