ajib baat hai kichaD mein lahlahae kanwal
phaTe purane se jismon pe saj ke resham aae
Ibn-e-Safi
il-aKHir thak haar ke yaro hum ne bhi taslim kiya
apni zat se ishq hai sachcha baqi sab afsane hain
Ibn-e-Safi
ujh gaya dil to KHarabi hui hai
phir kisi shola-jabin se miliye
Ibn-e-Safi
chand ka husn bhi zamin se hai
chand par chandni nahin hoti
Ibn-e-Safi
dekh kar mera dasht-e-tanhai
rang-e-ru-e-bahaar utra hai
Ibn-e-Safi
dil sa khilauna hath aaya hai
khelo toDo ji bahlao
Ibn-e-Safi
din ke bhule ko raat Dasti hai
sham ko wapsi nahin hoti
Ibn-e-Safi
Dub jaane ki lazzaten mat puchh
kaun aise mein par utra hai
Ibn-e-Safi
husn bana jab bahti ganga
ishq hua kaghaz ki naw
Ibn-e-Safi