haTak raha hun main is dasht-e-sang mein kab se
abhi talak to dar-e-aina khula na mila
Hasan Aziz
Tags:
| 2 Lines Shayari |
dekhun wo karti hai ab ke alam-arai ki main
haarta kaun hai is jang mein tanhai ki main
Hasan Aziz
Tags:
| 2 Lines Shayari |
ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka
aaKHir kahin to KHatm ho virana dasht ka
Hasan Aziz
Tags:
| 2 Lines Shayari |
main TuTne deta nahin rangon ka tasalsul
zaKHmon ko hara karta hun bhar jaane ke Dar se
Hasan Aziz
Tags:
| 2 Lines Shayari |