ai KHuda insan ki taqsim-dar-taqsim dekh
parsaon dewtaon qatilon ke darmiyan
Hasan Abidi
ashkon mein piro ke us ki yaaden
pani pe kitab likh raha hun
Hasan Abidi
dil ki dahliz pe jab sham ka saya utra
ufuq-e-dard se sine mein ujala utra
Hasan Abidi
duniya kahan thi pas-e-wirasat ke zimn mein
ek din tha so us pe luTae hue to hain
Hasan Abidi
kuchh na kuchh to hota hai ek tere na hone se
warna aisi baaton par kaun hath malta hai
Hasan Abidi
sab ummiden mere aashob-e-tamanna tak thin
bastiyan ho gain gharqab to dariya utra
Hasan Abidi
shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin
baam-o-dar raushan hain lekin rasta milta nahin
Hasan Abidi
tishna-kaamon ko yahan kaun subu deta hai
gul ko bhi hath lagao to lahu deta hai
Hasan Abidi
yaad-e-yaran dil mein aai huk ban kar rah gai
jaise ek zaKHmi parinda jis ke par TuTe hue
Hasan Abidi