aaj teri yaad se Takra ke TukDe ho gaya
wo jo sadiyon se luDhakta ek patthar mujh mein tha
Hasan Abbasi
hasin yaadon ke chand ko alwidaa kah kar
main apne ghar ke andhere kamron mein lauT aaya
Hasan Abbasi
ek parinde ki tarah uD gaya kuchh der hui
aks us shaKHs ka talab mein aaya hua tha
Hasan Abbasi
kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage
tere tasawwur mein hum ne kar li kitab aage
Hasan Abbasi
KHafa ho mujh se to apne andar
wo barishon ko utarti hai
Hasan Abbasi
mohabbat mein kaThin raste bahut aasan lagte the
pahaDon par suhulat se chaDha karte the hum donon
Hasan Abbasi
mujh ko malum tha ek roz chala jaega!
wo meri umr ko yaadon ke hawale kar ke
Hasan Abbasi
nisbaten thin ret se kuchh is qadar
baadalon ke shahr mein pyasa raha
Hasan Abbasi
us ajnabi se hath milane ke waste
mahfil mein sab se hath milana paDa mujhe
Hasan Abbasi