ajib baat hamara hi KHun hua pani
hamin ne aag mein apne badan bhigoe the
Ghazanfar
ach ke duniya se ghar chale aae
ghar se bachne magar kidhar jaen
Ghazanfar
daftar mein zehn ghar nigah raste mein panw
jine ki kawishon mein badan hath se gaya
Ghazanfar
hum ki sahil ke tasawwur se sahm jate hain
log kis tarah samundar mein utarte honge
Ghazanfar
hamare hath se wo bhi nikal gaya aaKHir
ki jis KHayal mein hum muddaton se khoe the
Ghazanfar
har ek raat kahin dur bhag jata hun
har ek subh koi mujh ko khinch lata hai
Ghazanfar
kal tak jo shaffaf the chehre aawazon se KHali the
aaDi-tirchhi surKH lakiren un par bhi ab dekhoge
Ghazanfar
main aisa narm tabiat kabhi na tha pahle
zarur lams koi us ka chhu gaya mujh ko
Ghazanfar
main us ke jhuT ko bhi sach samajh ke sunta hun
ki us ke jhuT mein bhi zindagi ki quwwat hai
Ghazanfar