hale hi chhanw na de aasra to deta hai
ye aarzu ka shajar hai KHizan-rasida sahi
Ghalib Ayaz
hum us ke jabr ka qissa tamam chahte hain
aur us ki tegh hamara zawal chahti hai
Ghalib Ayaz
hawa ke honT khulen saat-e-kalam to aae
ye ret jaisa badan aandhiyon ke kaam to aae
Ghalib Ayaz
phir yahi rut ho ain mumkin hai
par tera intizar ho ki na ho
Ghalib Ayaz
tamam umr use chahna na tha mumkin
kabhi kabhi to wo is dil pe bar ban ke raha
Ghalib Ayaz
tumhaare dar se uThae gae malal nahin
wahan to chhoD ke aae hain hum ghubar apna
Ghalib Ayaz
zindagani mein sabhi rang the mahrumi ke
tujh ko dekha to main ehsas-e-ziyan se nikla
Ghalib Ayaz