aandhiyon ka KHwab adhura rah gaya
hath mein ek sukha patta rah gaya
Farooq Shafaq
aaj socha hai jagunga main raat mein
kachche phal sa mujhe toDta kaun hai
Farooq Shafaq
apni laghzish ko to ilzam na dega koi
log thak-haar ke mujrim hamein Thahraenge
Farooq Shafaq
hone wala tha ek hadsa rah gaya
kal ka sab se baDa waqia rah gaya
Farooq Shafaq
is siyah-KHane mein tujh ko jagna hai raat bhar
in sitaron ko na be-maqsad hatheli par bujha
Farooq Shafaq
samne jhil hai jhil mein aasman
aasman mein ye uDta hua kaun hai
Farooq Shafaq
shahr ka manzar hamare ghar ke pas-e-manzar mein hai
ab udhar bhi ajnabi chehre nazar aane lage
Farooq Shafaq
shahr mein jina hai chalna do-ruKHi talwar par
aadmi kis se bache kis ki taraf-dari kare
Farooq Shafaq
suna hai har ghaDi tu muskuraata rahta hai
mujhe bhi jazb zara kar ke jism-o-jaan mein mila
Farooq Shafaq