aap ki taswir thi aKHbar mein
kya sabab hai aap ghar jate nahin
Farooq Nazki
ab faqiri mein koi baat nahin
hashmat-o-jah-o-karr-o-far de de
Farooq Nazki
ahki hui ruhon ko tasalli de kar
khoe hue ajsam ki jannat ho ja
Farooq Nazki
haTak na jata agar zat ke bayaban mein
to mera naqsh-e-qadam mera rahbar hota
Farooq Nazki
hisar-e-KHauf-o-hiras mein hai butan-e-wahm-o-guman ki basti
mujhe KHabar hi nahin ki ab main junub mein ya shumal mein hun
Farooq Nazki
jab koi naujawan marta hai
aarzu ka jahan marta hai
Farooq Nazki
junun-asar mausam ka pata koi nahin dega
tujhe ai dasht-e-tanhai sada koi nahin dega
Farooq Nazki
kanch ke alfaz kaghaz par na rakh
sang-e-mani ban ke Takraunga main
Farooq Nazki
main hun 'muztar' badan ki nagri mein
mere hisse mein la-makan likhna
Farooq Nazki