and kamre mein tera dard na bujh jae kahin
khiDkiyan khol ki ye aag hawa chahti hai
Faheem Jogapuri
hum ahl-e-gham ko haqarat se dekhne walo
tumhaari naw inhin aansuon se chalti hai
Faheem Jogapuri
jaenge ek roz samundar ki god mein
dariya ke sath ret ki tahrir aur hum
Faheem Jogapuri
kisi ke dar pe sajda karte karte
'fahim' aisa na ho sar TuT jae
Faheem Jogapuri
kitne tufanon se hum uljhe tujhe malum kya
peD ke dukh-dard ka phulon se andaza na ka
Faheem Jogapuri
marghaT path par dekh ke hum ko jaane kya kya sochen wo
aankhon se kya punny kamae honTon se kya dan hue
Faheem Jogapuri
milan ke baad aati hai judai
narak bhi sowarg se kitna nikaT hai
Faheem Jogapuri
na baat dil ki sunun main na dil sune meri
ye sard jang hai apne hi ek mushir ke sath
Faheem Jogapuri
aste mein 'fahim' us ki tabiat ka bigaDna
ghar jaane ka ek aur bahana to nahin hai
Faheem Jogapuri