aap aae hain haal puchha hai
hum ne aise bhi KHwab dekhe hain
Ejaz Warsi
ai sang-e-astan mere sajdon ki laj rakh
aaya hun e'tiraf-e-shikast-e-KHudi liye
Ejaz Warsi
arson mein bhi chhu jae kisi ko to ghanimat
KHushbu-e-wafa yaro baDi sust-qadam hai
Ejaz Warsi
chaDhte suraj ki mudaraat se pahle 'ejaz'
soch lo kitne charagh us ne bujhae honge
Ejaz Warsi
darbanon tak ke chehre raunat se masKH hain
dast-e-talab liye hue phir bhi khaDe hain log
Ejaz Warsi
main us ke aib us ko batata bhi kis tarah
wo shaKHs aaj tak mujhe tanha nahin mila
Ejaz Warsi
ah-rau bach ke chal daraKHton se
dhup dushman nahin hai sae hain
Ejaz Warsi