aaKHir jism bhi diwaron ko saunp gae 
darwazon mein aankhen dharne wale log
Daniyal Tareer
darinde sath rahna chahte hain aadmi ke 
ghana jangal makanon tak pahunchna chahta hai
Daniyal Tareer
dekhna ye hai ki jangal ko chalane ke liye 
mashwara richh se aur chil se hoga ki nahin
Daniyal Tareer
ek be-chehra musafir rang oDhe 
dhund mein chalte hue dekha gaya hai
Daniyal Tareer
KHwab jazira ban sakte the nahin bane 
hum bhi qissa ban sakte the nahin bane
Daniyal Tareer
KHwab ka kya hai raat ke naqsh-o-nigar banao 
raat ke naqsh-o-nigar banao KHwab ka kya hai
Daniyal Tareer
KHwab ka kya hai raat ke naqsh-o-nigar banao 
raat ke naqsh-o-nigar banao KHwab ka kya hai
Daniyal Tareer
shelf pe ulTa kar ke rakh do aur bisra do 
gul-danon mein phul sajao KHwab ka kya hai
Daniyal Tareer

