ajib Dhang se taqsim-e-kar ki us ne
so jis ko dil na diya us ko dilrubai di
Bilal Ahmad
ajib qaid thi jis mein bahut KHushi thi mujhe
ab ashk thamte nahin hain ye kya riha hua main
Bilal Ahmad
ek haalat thi meri aur ek haalat dil ki thi
meri haalat to wahi hai dil ki wo haalat gai
Bilal Ahmad
ek kanTe ki khaTak se dil mera aabaad tha
wo gaya to dil se mere dard ki rahat gai
Bilal Ahmad
hamari KHak tabarruk samajh ke le jao
hamari jaan mohabbat ki lau mein jalti thi
Bilal Ahmad
is raha hai muddat se koi pahla gham mujh mein
rasta banata hai aansuon ka nam mujh mein
Bilal Ahmad
suna hai main ne aziyyat maza bhi deti hai
suna hai dil ki KHalish mein sakun bhi hota hai
Bilal Ahmad
ulajh raha tha abhi KHwab ki fasil se main
ki na-rasai ne ek shab mujhe rasai di
Bilal Ahmad