arsh tak jati thi ab lab tak bhi aa sakti nahin
rahm aa jata hai kyun ab mujh ko apni aah par
it cannot even reach my lips, it used to reach the highest skies
I feel compassion at the sorry condition of my sighs
Bayan Ahsaah Khan
dilbaron ke shahr mein beganagi andher hai
aashnai DhunDta phirta hun main le kar diya
Bayan Ahsaah Khan
hum sarguzisht kya kahen apni ki misl-e-KHar
pamal ho gae tere daman se chhuT ka
Bayan Ahsaah Khan
lahu Tapka kisi ki aarzu se
hamari aarzu Tapki lahu se
Bayan Ahsaah Khan
sirat ke hum ghulam hain surat hui to kya
surKH o safed miTTi ki murat hui to kya
Bayan Ahsaah Khan