dard uTTha tha mere pahlu mein
aaKHir-e-kar jigar tak pahuncha
Baqa Baluch
ek uljhan raat din palti rahi dil mein ki hum
kis nagar ki KHak the kis dasht mein Thahre rahe
Baqa Baluch
garmi-e-shiddat-e-jazbaat bata deta hai
dil to bhuli hui har baat bata deta hai
Baqa Baluch
hum ne jin ko sachcha jaana
niklin wo sab baaten jhuTi
Baqa Baluch
har kuche mein armanon ka KHun hua
shahr ke jitne raste hain sab KHunin hain
Baqa Baluch
jism apne fani hain jaan apni fani hai fani hai ye duniya bhi
phir bhi fani duniya mein jawedan to main bhi hun jawedan to tum bhi ho
Baqa Baluch
kaisa lamha aan paDa hai
hansta ghar viran paDa hai
Baqa Baluch
log chale hain sahraon ko
aur nagar sunsan paDa hai
Baqa Baluch
main kinare pe khaDa hun to koi baat nahin
bahta rahta hai teri yaad ka dariya mujh mein
Baqa Baluch