aisi hone lagi thakan us ko
din ke Dhalte hi so gaya rasta
Balwan Singh Azar
chalunga kab talak tanha safar mein
mujhe milta nahin hai karwan kyun
Balwan Singh Azar
haar jaegi yaqinan tirgi
gar musalsal raushni zinda rahi
Balwan Singh Azar
hawa ke dosh par lagta hai uDne
jo patta TuT jata hai shajar se
Balwan Singh Azar
KHatm hota hi nahin mera safar
koi thak-haar gaya hai mujh mein
Balwan Singh Azar
khula makan hai har ek zindagi 'azar'
hawa ke sath darichon se KHwab aate hain
Balwan Singh Azar
koi manzil kabhi nahin aai
raste mein tha raste mein hun
Balwan Singh Azar
mar deti hai zindagi Thokar
zehn jab ulTe panw chalta hai
Balwan Singh Azar
paon se kanTa nikal jae agar
apni raftar baDha lun main bhi
Balwan Singh Azar