aatish-e-ishq jab jalati hai
jal ke main nosh-e-jam karta hun
Babar Rahman Shah
ai pari-zad tere jaane par
ho gaya KHud se rabta mera
Babar Rahman Shah
dil ne hum se ajab hi kaam liya
hum ko becha magar na dam liya
Babar Rahman Shah
dil se aaKHir charagh-e-wasl bujha
kya tamanna ne intiqam liya
Babar Rahman Shah
kisi ke jal mein aa kar main apna dil ganwa baiTha
mujhe tha ishq qatil se main apna sar kaTa baiTha
Babar Rahman Shah
muflisi ne ja-ba-ja luTa hamein
ab bacha kuchh bhi nahin luTwaen kya
Babar Rahman Shah
thakan se chur hai sara wajud ab mera
main bojh itne ghamon ka to Dho nahin sakta
Babar Rahman Shah