aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan
lag raha hai dard ki taswir ban jaenge hum
Azm Shakri
aaj ki raat diwali hai diye raushan hain
aaj ki raat ye lagta hai main so sakta hun
Azm Shakri
agar sae se jal jaane ka itna KHauf tha to phir
sahar hote hi suraj ki nigahbani mein aa jate
Azm Shakri
ajib haalat hai jism-o-jaan ki hazar pahlu badal raha hun
wo mere andar utar gaya hai main KHud se bahar nikal raha hun
Azm Shakri
main ne ek shahr hamesha ke liye chhoD diya
lekin us shahr ko aaankhon mein basa laya hun
Azm Shakri
mere jism se waqt ne kapDe noch liye
manzar manzar KHud meri poshak hua
Azm Shakri
sare dukh so jaenge lekin ek aisa gham bhi hai
jo mere bistar pe sadiyon ka safar rakh jaega
Azm Shakri
shab ki aaghosh mein mahtab utara us ne
meri aaankhon mein koi KHwab utara us ne
Azm Shakri
ye jo diwar andheron ne uTha rakkhi hai
mera maqsad isi diwar mein dar karna hai
Azm Shakri