aamadgi ko wasl se mashrut mat samajh
ye dekh is sawal pe sanjida kaun hai
Azm Bahzad
ai KHwab-e-pazirai tu kyun meri aankhon mein
andesha-e-duniya ki tabir uTha laya
Azm Bahzad
ajab mahfil hai sab ek dusre par hans rahe hain
ajab tanhai hai KHalwat ki KHalwat ro rahi hai
Azm Bahzad
dariya par utarne wale ye bhi jaan nahin pae
kise kinare par le Duba par utar jaane ka gham
Azm Bahzad
kal samne manzil thi pichhe meri aawazen
chalta to bichhaD jata rukta to safar jata
Azm Bahzad
kitne mausam sargardan the mujh se hath milane mein
main ne shayad der laga di KHud se bahar aane mein
Azm Bahzad
koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne
qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha
Azm Bahzad
aushni DhunD ke lana koi mushkil to na tha
lekin is dauD mein har shaKHs ko jalte dekha
Azm Bahzad
sawal karne ke hausle se jawab dene ke faisle tak
jo waqfa-e-sabr aa gaya tha usi ki lazzat mein aa basa hun
Azm Bahzad